Husn-e-jana ki tareef mumkin nahi, tu bhi dekhe agar to kahe hum-nasheen... Afreen afreen afreen afreen...
Aisa Dekha nahi khoobsoorat koi,
Jism jaise ajanta ki moorat koi,
Jism jaise nigaho ka jaadoo koi,
Jism nagma koi,
Jism khushboo koi,
jism jaise machalti hui raagini,
Jism jaise mehekti hui chandani,
jism jaise ki khilta hua ik kamal,
jism jaise ki sooraj ki pehli kiran,
jism tarsha hua dilkash-o-dil nasheensandali sandali, marmari marmari.
Aankhe dekhi to main dekhta reh gaya,
Jaam do aur dono hi do aatisha,
Aankhe yaan maikade ke wo do baab hain,
Aankhein unko kahun yaan kahun khaab hain,
Aankhein neechi hui to haya ban gayi,
Aankhein oonchi hui to dua ban gayi,
Aankhein jhuk kar uthi to kaza ban gayi,
Aankhein uth ker jhuki to ada ban gayi,
Aankhein jin mein hai faila aasmaan-o- zameen,nargisi nargisi, surmagi surmagi!!!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment