Sarakti Jaaye Hain Rukh Se Naqaab Aahistaa-aahista
Nikalta Aa Raha Hai Aaftaab Aahistaa-aahista
Jawan Hone Lage Jab Wo To Humse Kar Liya Parda
Hayaa Yakalakht Aaee Aur Shabaab Aahistaa-aahista
Sab-e-furkat Ka Jaaga Hoon Paristhon Ab To Sone Do
Kabhi Fursat Mein Kar Lena Hisaab Aahistaa-aahista
sawaal-e wsal parr unko udooo kaa khuff hai itnaa
Dabe hotho se dete hain jawab Aahistaa -aahista
Hamaare Aur Tumhaare Pyaar Mein Bas Farq Hai Itna
Idhar To Jaldi Jaldi Hai Udhar Aahistaa-aahista
Badi Bedardi Se Sar Kaate 'ameer' Aur Main Kahoon Unse
Huzur Aahistaa Aahistaa Janaab Aahistaa-aahista
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment