Monday, July 30, 2007

Duniya jise kehte hain

duniyaa jise kahate hain jaaduu kaa khilonaa hai
mil jaaye to miTTii hai kho jaaye to sonaa hai

achchhaa saa koii mausam
tanahaa saa koii aalam
har vaqt aa ronaa to bekaar kaa ronaa hai

barasaat kaa baadal to
diivaanaa hai kyaa jaane
kis raah se bachanaa hai kis chhat ko bhigonaa hai

Gam ho ki Khushii donon
kuchh der ke saathii hain
phir rastaa hii rastaa hai haNsanaa hai na ronaa hai

No comments: